Tumhare shehar ka mosam bara suhana lage
mein ik sham chura loon agar bura na lage
jo doobna hai to itne sukoon se doobo
ke aas paas ke lehron ko bhi pata nahin chalta
tumhare bas mein agar ho to bhool jao humain
tumhain bhool jane mein humhain shayed zamana lage
na jane kya hai kisi ki udas aankhon mein
wo munh chhupa ke bhi jaye to bewafa na lage
humhare pyar se jalne lagi hai ik dunya
dua karo kisi dushman ki bad dua na lage