Yaad agar karte nahin, dil se bhula do mujh ko

Yaad agar karte nahin, dil se bhula do mujh ko
koi to jurm-e-mohabbat ki saza do mujhko

ab kashish koi nahin hai shab-e-tanhai mein
ye tamana hai, koi zakhan naya do mujh ko

mein pohanch jaon jaon mohabbat ki haseen manzil par
ho sake to koi aesi bhi dua do mujh ko

mein hoon mansoor tu sooli ho muqadar mera
mein hoon saqrat to phir zahar pila do mujh ko

dil hai betaab mera, aankh mein taghyani hai
aaj manan! ghazal koi suna do mujh ko
 
Blogger Tricks