Dayar-e-gher mein kese tujhe sada dete

Dayar-e-gher mein kese tujhe sada dete
tu mill bhi jata to aakhir tujhe ganwa dete

tumhi ne hum ko sunaya na apna dukh warna
dua wo karte ke hum aasman hila dete

humein ye zeem raha ab ke wo pukarenge
unhain ye zid thi ke har baar hum sada dete

wo tera gham tha ke taseer mere lehje ki
ke jis ko haal sunate usey rula dete

tumhain bhulana hai awal to dastars mein nahin
jo akhtyar bhi hota to kya bhula dete?

hum apne bachon se kese kaheen ke ye gurya
humare bas mein jo hoti to hum dila dete

samaeton ko mein ta umar kosta sayed
wo kuch na kehte bas hont hila dete
 
Blogger Tricks