Na ji bhar ke dekha na kuch baat ki

Na ji bhar ke dekha na kuch baat ki
bari aarzu thi mulaqat ki

shab-e-hijar ko ye tashveesh hai
musafir ne jane kahan raat ki

muqadar mere chashm pur aab ka
barasti hue raat barsat ki

ujalon ki paryan nahane lagi
nadi gungunai khayalat ki

mein chup tha to chalti hawa ruk gayi
zaban sab samjhti hai jazbat ki

kai saal se kuch khabar hi nahin
kahan din guzra kahan raat ki

 
Blogger Tricks