Dua ka toota hua harf, sard aah mein hai
teri judai ka mazar abhi bhi nigah mein hai
tere badalne ke ba wasf tujh ko chaha hai
ye aetraf bhi shamil mere gunah mein hai
azab dega to phir mujh ko khuwab bhi dega
mein mutamin hoon mera dil teri panah mein hai
bikhar chuka hai magar muskura ke milta hai
wo rakh rakhao abhi mere kujlao mein hai
jise bahar ke mehman khali chhor gaye
wo ik makan ab bhi mukee`n ki chah mein hai
yahi wo din the jab ik doosre ko paya tha
humari saal girah theek agle maah mein hai
mein bach bhi jaon to tanhai mar dale gi
mere qabeele ka har fard,qatal gah mein hai