Badban khulne se pehle ka ishara dekhna

Badba`n khulne se pehle ka ishara dekhna
mein samandar dekhti hoon tum kinara dekhna

yun bichharna bhi yun aasan na tha us se magar
jate jate us ka wo mur kar dobara dekhna

kis shahat ko le ke aya hai darwaze pe chand
ae shab-e-hijra`n zara apna sitara dekhna

kya qayamat hai ke jin ke naam par
un hi logon ko muqabil mein saf ara dekha

jab binam-e-dil sar ki gawahi mangi jaye
khoon mein dooba hua parcham hamara dekhana

jeetne mein bhi jahan ji ka zyan pehle se hai
aesi bazi harne mein kya khasara hai

aaine ki aankh hi kuch kam na thi mere liye
jane ab kya kya dikhaye ga tumhara dekhna

ek mashet khak aur wo bhi hawa ke zad mein hai
zindgi ki bebasi ka isteara dekhna
 
Blogger Tricks