Rukhsat hua to baat meri maan kar gaya
jo us ke paas tha wo mujhe dan kar gaya
bichhra kuch us ada se ke rut hi badal gayi
ik shakhs sare shehar ko veeran kar gaya
dilchasp waqiya hai ke kal ik aziz dost
apne mufad par mujhe qurban kar gaya
kitni sudhar gai hai judai mein zindgi
haan wo jafa se to mujh pe aehsan kar gaya
khalid mein baat baat pe jis ko kehta tha jaan
wo shakhs aakhir mujhe bejaan kar gaya