Koi mujh ko mera bharpoor sarapa la de

Koi mujh ko mera bharpoor sarapa la de
mere bazu, meri aankhain, mera chehra la de

aesa darya jo kisi aur samundar mein gire
is se behtar hai ke mujh ko mera sehra la de

kuch nahin chahye tujh se ae meri umar rawa`n
mera bachpan, mere jugnu, meri gurya la de

naya mosam meri beenai ko tasleem nahin
meri aankhon ko wohi khwab purana la de

jis ki aankahin mujhe andar se bhi parh sakti hon
koi chehra to mere shehar mein aesa la de

kashti jaa`n to bhanwar mein hi kai barson se
ae khuda! ab to dubo de ya kinara de
 
Blogger Tricks