Ye charagh be nazar hai ye sitara be zuban hai
abhi tujh se milta julta doosra kahan hai
wohi shakhs jis pe apne dil-o-jaan nisar kar doon
wo agar khafa nahin hai to zaroor badgumaan hai
mere sath chalne wale tujhe kya mila safar mein
wohi dukh bhari zameen hai wohi gham ka aasman hai
kabhi pa ke tujh ko khona kabhi kho ke tujh ko pana
ye janam janam ka rishta tere mere darmiyan hai
unhi raston ne jin par kabhi tum the sath mere
mujhe rok rok poochha tera humsafar kahan hai