Pathar bana diya mujhe rone nahin diya
daman bhi tere gham ne bhigone nahin diya
tanhayan tumhara pata poochhti rahee`n
shab bhar tumhari yaad ne sone nahin diya
aankkhon mein aa kar beth gai ashkon ki lehar
palkon pe koi khwab pirone nahin diya
dil ko tumhare naam ke aansu aziz the
dunya ka koi dard samone nahin diya
nasir yun us ki yaad chali hath tham ke
mele mein is jahan ko khone nahin diya