Main ye soch kar us ke dar se utha tha
ke wo rok le gi mana le gi mujh ko
hawa`on mein lehrata ata tha daman
ke daman pakar ke bitha le gi mujh ko
qadam aese andaz se uth rahe the
ke awaz de ke bula le gi mujh ko
magar us ne roka na mujh ko bulaya
mein aahista aahista barhta hi aya
yahan tak ke us se juda ho gaya mein