Yaad hai tum ko ............!
ghar ke pichhle lan mein hum tum
shab bhar batein karte the
jhagra hota to hum lar kar
chand ko munsif kar lete the
chand sada ka paji hai
chahe kuch ho
magar hamesha
ek hi baat kiya karta tha
teri side liya karta tha