Jo meri aankhon se khuwab dekho

Jo meri aankhon se khuwab dekho
to ek bhi shab na so sako gi
ke lakh chaho na hans sako gi
hazar chaho na ro sako gi
ke khuwab kya hain azab hain ye
mere dukhon ki kitab hain ye
rafaqaten in main chhotti hain
mohabbatein in mein roothati hein
panapti hein in mein wehshten si
aziyaten in mein phootti hein
inhi ke dar se khaza`n hain jazbe
inhi se shakhein si tootti hein
ghamon ki bandish hain khuwab mere
dukhon ki barish hain khuwab mere
ubal raha hai dukhon ka lawa
raheen aatish hain khuwab mere
khayal sare jhulas gaye hein
sulagti khuwahish hein khuwab mere
ukharti sansein hain zindgi ki
lahoo ki sazish hain khuwab mere
jo meri aankhon se khuwab dekho
to ek shab bhi na so sako ge
 
Blogger Tricks