Tumhain jana`n ijazat hai
ke in tareek rahon par
thakan se khud mein pao to
andheron se kabhi dil toot jaye
thak si jao to
mere jalte hue lamhon
mere kangal hathon se chhura ke ape hathon ko
fiza ke naghme se tum naye geeton ko chun lena
haseen palkon ki nokon par naye kuch khuwab bun lena
koi poochh le mera to us se zikar mat karna
mere jeewan ki jalti dopehar se begharz ho kar
tum apni chandni raton mein jugnu palte rehna
meri tanhaeyon ki wehshaton ki fikar mat karna
tumhain is ki ijazat hai
mere sab khat jala dena
mere tohfon ko darya mein bahana ya daba dena
meri har yaad ko dil se khurachna aur mita dena
tumhain bilkul ijazat hai
ke jab chaho bhula dena
magar itni guzarish hai
agar aesa na ho jana`n
to achha hai......!