Sab ka aehsan uthani ki tum ko zaroorat hi kya hai

Sab ka aehsan uthani ki tum ko zaroorat kya hai
sath ho tum to zamane ki zaroorat kya hai

masla dono ka hai tey bhi karenge dono
shehar ko beech mein lane ki zaroorat hi kya hai

del se tey kar ke kisi roz yakja ho jao
chhorna hai to bahane ki zaroorat kya hai

khwahishain dil se nikal aayen to herat kesi
in parindon ki thikane ki zaroorat kya hai

kya hua us se jo pehle sa taluq na raha
shehar ko chhor ke jane ki zaroorat hi kya hai

ghol chiryon ka tumahin kiyon achha nahin lagta
jheel mein zehar milane ki zaroorat kya hai
 
Blogger Tricks