Jo us ke samne mera ye haal aa jaye
to dukh se aur bhi us par jamal aa jaye
mera khayal hai ghunghro pehan ke nachega
agar khayal ko tera khayal aa jaye
har ek sham naye khuwab us par karhain ge
humare hath agar teri shal aa jaye
inhi dino wo mere sath chai peeta tha
kaheen se kash mera pichhla sal aa jaye
mein apne gham ke khazane kahan chhupaonga
agar kaheen se koi lind-e-mal aa jaye
har ek baar naye dhang se sajayen tujhe
humhare hath jo phoolon ki daal lag jaye
ye doobta hua sooraj thehar na jaye wasi
agar wo samne waqat-e-zawal aa jaye