Jab se ye pegham mila hai
jana`n ! tum ane wali ho
Mosam ne sare ghar ki tarteeb badal kar rakh dali hai
chokhat pe ik chand bhi aakar beth gaya hai
kai sitare laouj main kab se pare hue hain
kehte hain ke
is raste se tum guzro ge
nanhe munhe kai gulabon ka kehna hai
jitne din tum pas raho ge
ghar ke har kone main aa khar wo mehken ge
pholon ne mill kar sab koney bant liye hain
jugnu kab se chhat par,ghar ki
har goshey main chamak rahe hain
sooraj aur barish bhi kal se saiban par tike hue hain
dheeme dheeme chehak rahe hain
sham to kab se kayi tarah ke mosam le kar
us kamre main ruki hui hai jis kamre main tum thehroge
tum aao ge to ye sham hazaron mosam
sundar sundar saje hue aankhon ke dekh kar
kho jao gi
phir na kabhi wapas aye gi
is se pehle ke ye sham bhi
sare mosam le kar mujh ko khali kar ke kho jaye
tum aa jao na !
aa bhi jao......