Aesa bhi nahin us se mila de koi aa kar
kesa hai wo, itna to bata de koi aa kar
ye bhi to kisi maa ka dulara koi hoga
is qabar pe bhi phool charha de koi aa kar
sookhi hain bari der se palkon ki zabane`n
bas aaj to ji bhar ke rula de koi aa kar
barson ki dua phir na kaheen khak mein mill jaye
ye abar bhi aandhi na ura de koi aa kar
ye koh ye sabza`h, ye machalti hui nadiyan
mar jaon jo manzil ka pata de koi aa kar
har ghar pe hai awaz ik dar pe hai dastak
betha hoon ke mujh ko bhi sada de koi aa kar
is khwahish-e-nakam ka khoon bhi mere sar hai
zinda hoon is ki bhi saza de koi aakar