iqbal tairay dais ka kya haal sunaoun
dehqaan to mrkhp gaya ab kis ko jagaoon
milta hai kahan khosha gandum kay jalau
shaheen ka hai gunbad shahi pay basera
kunjishk ko ab kis se laraon
Iqbal tairay dais ka kya haal sunaoun
har daarhi mein tinka hai, har aik aankh mein shehteer
momeen ki nigahon se badalti nahi taqadir
toheed ki talwar se khaali hain naya mein
ab zouq yaqeen se nahi katti koi zanjeer
Iqbal tairay dais ka kya haal sunaoun
shahin ka jahan aaj gargas ka jahan hai
melti hui mlaa se Mujahid ki azan hai
mana kay sitaron se bhi agay hain jahan aur
shahin mein magar taaqat parwaaz kahan hai
Iqbal tairay dais ka kya haal sunaoun
mar-mar ki slon se koi be zaar nahi hai
rehne ko haram mein koi tayyar nahi hai
kehnay ko har ik shakhs musalman hai, lekin
daikho to kahin naam ko kirdaar nahi hai
Iqbal tairay dais ka kya haal sunaoun
bebaki o haq goi se ghabrata hai momeen
makkari o robahi pay itrata hai momeen
jis rizaq se parwaaz mein kotahi ka darr ho
woh rizaq barray shoq se ab katha hai momeen
Iqbal tairay dais ka kya haal sunaoun
peda kabhi hoti thi sehar jis ki azan se
iss banda momeen ko mein ab lau kahan se
woh sajda zamee jis se laraz jati thi yaaro !
ik baar tha hum chaatt gaye iss se
Iqbal tairay dais ka kya haal sunaoun
jhagray hain yahan sobon ke zaaton ke nasb ke
ugte hain teh Gul khaar ghazab ke
yeh dais hai sab ka magar iss ka nahi koi
iss ke tan khasta pay to ab daant hain sab ke
Iqbal tairay dais ka kya haal sunaoun
mehmoodon ki saf aaj ayazon se paray hai
jamhoor se sultaani jamhoor daray hai
thamaay huay daman hai yahan par jo khudi ka
mar mar ke jiye hai kabhi jee jee ke marey hai
Iqbal tairay dais ka kya haal sunaoun
daikho to zara mehloon ke pardon ko utha kar
Shamsheer o sinaan rakhi hain taqon pay saja kar
atay hain nazar masnad Shahi pay rangeele
taqadir mnh so gayi pay aa kar
Iqbal tairay dais ka kya haal sunaoun
makkari o ayyari o ghaddari o hejaan
ab bantaa hai in chaar anasir se musalman
qaari usay kehna to bari baat hai yaaro !
iss ne to kabhi khol ke dekha nahi quran
Iqbal tairay dais ka kya haal sunaoun
kirdaar ka guftaar ka aamaal ka momeen
qael nahi aisay kisi janjaal ka momin
sarhad ka hai momeen koi bangal ka momeen
dhoonday se bhi milta nahi quran ka momeen
Iqbal tairay dais ka kya haal sunaoun
0 comments:
Post a Comment