kabhi us ne mujh ko jala diya kahbi us ne mujh ko bujha diya

kabhi us ne mujh ko jala diya, kabhi us ne mujh ko bujha diya
mein charagh tha to hawa ne bhi mujhe ik tamash bana diya

meri shakal utri thi khak par; meri khak rakhi thi chak par
mein khayal-e-dast-e-hunar mein tha, mujhe us ne khud se mila diya

meri aankh mein jo sama gaya sar-e-aab naqsh bana gaya
kahan chand baqi rahe ga phir jo kisi ne pani hila diya

mein khala mien hoon, mein saza main hoon, ke mein ab bhi apni anaa mein hoon
jise zameen na pakar saki usi aasman ne gira diya

raah bekhabar mein to umar bhar ke raah kisi ke mizaj par
kabhi us ne mujh ko hansa diya kabhi us ne mujh ko rula diya

koi phool jab ke khila na tha koi dard jab ke mila na tha
meri dil se gham ki hawa`on  ne tera naam-o-naqsh mita diya

ye kahaniyan ye nishaniyan ye tumhari ashq feshaniyan
mere saad tum ko ye kya hua tera chen kis ne ganwa diya
 
Blogger Tricks