Aankhon mein aansuo`n ko ubhar ne mat diya
mati mein motiyon ko bikharne nahin diya
jis raah pe pare the tere paon ke nishan
us raah se kisi ko guzarne nahin diya
chaha to chahton ki had se guzar gaye
nasha mohabbat ka utarne nahin diya
har baar hai naya tere milne ka zaiqa
aesa samar kisi bhi shajar ne nahin diya
ye hijar hai to us ka faqat wasal hai ilaj
hum ye zakham waqat ko bharne nahin diya
itne bare jahan mein jaye ga tu kahan
is ik khayal ne mujhe marne nahin diya
sahil dikhai de to raha tha bohat qareeb
kashti ko rasta hi bhanwar ne nahin diya
jitna sukoon mila hai tere sath raah mein
itna sukoon to mujhe ghar ne nahin diya
us ne hansi hansi mein mohabbat ki baat ki
mein ne adeem us ko mukarne nahin diya