Zahir kisi soorat bhi naam na karna
hain log bohat khas humain aa na karna
jane ki ijazat to de dete hain lekin
raste mein kaheen atey hue sham na karna
kuch roz ye haal hai firkat mein tumhari
bekar pare rehna koi kaam na karna
hum bhi na dikhaienge sar-e-raah gireban
tum bhi mere wadon ko sar-e-aam na karna
is sharat pe hai tarak-e-taluk ki ijazat
badnaam zamane mein mera naam na karna