Tumhari zulfain, tumhari palkain, tumhari aankhain
tumhara chehra, tumhari shani, surahi gardan
kalaiyon mein khanakte kangan
hinai hathon ki ungliyon ki haseen poore`n
ke jin mein sandal mehak rahi hai
ye naram sanson ki gungunahat
qadam uthao to dharkanain
sath chhorti hain
badan ka har zaviya qayamat
nahin tumhari misal jana`n
kamal ho tum kamal jana`n
tumhara sab kuch haseen hai lajwab hai par
mera nahin hai
tumhara kuch bhi mera nahin hai...................!