Hum ne jo deep jalaye hain, teri galiyon mein
apne kuch khuwab sajaye hain teri galiyon mein
jane ye ishq hai ya koi karamat apni
chand le kar chale aaye, teri galiyon mein
tazkra ho teri galiyon ka to dar jata hai
dil ne wo zakham uthaye hain teri galiyon mein
is liye bhi teri galiyon se humhain nafrat hai
hum ne arman ganwaye hain teri galiyon mein
kiyon har ik cheez adhoori si humhain lagti hai
jane kya chhor aye hein teri galiyon mein