Gungunate hue aanchal ki hawa de mujh ko
ungliyan pher ke balon mein sula de mujhko
jis tarah faltu guldan pare rehte hain
apne ghar ke kisi kone se lag de mujh ko
yaad kar ke mujhe takleef hi hoti hogi
ik qisa hoon purana sa bhula de mujh ko
doobte doobte awaz teri sun jaon
aakhri baat to sahil se sada de mujh ko
mein tere hijar mein chup chap na mar jaon kaheen
mein hoon sakte mein aake rula de mujh ko
dekh mein ho gaya badnaam kitabon ki tarah
meri tashheer na kar ab to jala de mujh ko
roothna tera meri jaan ke liye jata hai
aese naraz na ho, hans ke dikha de mujh ko
aur kuch bhi nahin manga mere malik tujh se
us ki galiyon mein pari khak bana de mujh ko
log kehte hein ke ye ishq nigal jata hai
mein bhi is ishq mein aya hoon, dua de mujh ko
yahi oqat hai meri tere jeewan mein ke mein
koi kamzor sa lamha hoon, bhula de mujh ko