Diya jalana

Main janta hoon ke ab chhaton par
diye jalane ki rasam baqi nahin rahi hai
magar tumhain meri yaad aye
to yaad rakho.....!
tum apni aankhon se
aansoon`n ke chamakte moti na girne dena
bas itna karna
ke apni chhat par
meri mohabbat ki nazam ga kar
meri rafaqat ko yaad kar ke
diya jalana
tum apni chhat par kisi bhi kone mein beth kar
ik diya jalana....!
 
Blogger Tricks