Zara to thehar ae dil abhi kuch kaam baqi hai

Zara to thehar ae dil......!
abhi kuch kaam baqi hai
abhi aangan mein mujh ko motiye ke kuch naye podey lagane hain
abhi un shokh honton ke kai andaz hain jin ko
mere honton pe khulna hai
abhi is jisam ne mujh se
bohat si batain karni hain
abhi is dil ke jane kitne hi gham aese hain jin ko
mujhe apne badan mein rooh mein bharna hai
us ke sath jane kitne raste hain
ikathe jin pe chalna hai
abhi kuch aese wade hain
ke jin ko poora karne ka kai barson se lamha hi muyusar aa nahin paya
abhi wo waqat ana hai
abhi wade nibhane hain
abhi kuch shayer aese hain ke ji mein keh nahin paya
unhain tehreer karna hai
abhi kuch geet aese hain ke jin ki dhun banani hai
adhoori si kisi tasweer ki takmeel karna hai
kai kaghaz hain wo jin pe meri sighn zaroori hai
abhi kuch batain aesi hain ke jo barson se
mere zehan main thi`n
soch rakha tha, usey ek din batao`n ga
                                             batani hain
abhi kuch qise aese hain ke jo us ko sunane hain
kai kotahiyan aesi bhi hain jin par nadamat hai
usey sab kuch bata kar
boj is dil ka ghatana hai
abhi kuch der pehle bas zara si der pehle hi
zara si baat par wo mujh se rootha tha
zara sa to thehar ae dil
abhi us ko manana hai
abhi us ko manana hai
 
Blogger Tricks