Jab mein ghar se nikal raha tha

Jab mein ghar se nikal raha tha
chalte chalte
mere seene se hat`te pal
dheere se ik sarghoshi mein
us ne kaha tha
dekhain chahe kuch ho jaye
roz mujhe ring keejyega
phir jab us ki hath aur nazreen
dono meri tai par thee`n
kehne lage
"aap nahin hote hain to mein
bilkul khali ho jati hoon"
chhor nahin sakte ye business
aap mujhe kiyon tarpate hain
achha dekhain yun karte hain
ik din khat ik din phone
mein ne us ko boosa dekar
us se kaha tha
ab ke chahe kuch ho jaye
khat likhonga phone karonga
haye lekin khood sar fitrat
aur kuch karobar ki jhanjhat
na to us ko phone kiya
aur na koi khat likh paya
na koi message na koi card
ab jo ghar ko lot raha hoon
soch raha hoon
tanhai ke ye do hafte
us par sadyon jese honge
lekin ye bhi janta hai dil
us ko behad shikwe honge
tarpi hogi
chhup kar takye mein raaton ko roi hogi
khafa khafa si
lekin ghar mein dakhil ho kar
jab mein us ke mathe par ek boosa doonga
un honton par hont rakhonga
aur kahoonga
"yaar mujhe tum yaad aaye`n thi
lamhe lamhe mein so baar
bas itna hi kehna hoga
aur wo pagli
apna sab kuch sonp ke mujh ko
mere seene lag jaye gi
phir jab us ke hath aur nazrain
dono mere seene ke balon par hongi
(wo seena jo un ashkon se bheega hoga)
sargoshi mein mujh se kahe gi
aap bhale ab kuch bhi karlen
hargiz ab na jane doongi
sachi aap to bohat bure hain
bohat bure hain
"hain na bongoo"
 
Blogger Tricks