Ab bhi us ke khat aatey hain
bheege bheege aur bhhene jadu mein lipte
mosam,khushbu,ghar walon ki batain karke,
apne dil ka hal sabhao likhti hai
ab bhi us ke sab lafzon se kache jazbe phoot ate hain
ab bhi us ke khat mein mosam geet sunane lag jate hain
ab bhi doop nikal aati hai badal chha jane lag jate hain
ab bhi us ke jism ki khushbu hathon se ho kar lafzon tak
aur phir mujh tak aa jati hai
ab bhi us ke khat mein aksar chand ubharne lag jata hai
sham utre ot un lafzon mein sooraj doobne lag jata hai
ab bhi us ke khat parh kar kuch mujh mien tootne lag jata hai
ab bhi khat ke ek kone mein wo ik deep jala deti hai
ab bhi mere naam pe apne ujle hont bana deti hai
ab bhi us ke khat ate hain
bheege bheege aur bheene jadu mein lipte
ab bhi us ke khat aate hain