1 comments

Ye shaam ye sard hawa

Ye shaam ye sard hawa aur ye Hijr ka aalam,
Gumaan hota hai is baar DECEMBER maar daalega….
0 comments

Ab to barishon mein bhi us ko meri yaad

Ab to barishon mein bhi us ko meri yaad nahin ati
Woh jo badal ke garajney se lipat jata tha mujhse..
0 comments

Teri yaadein december ki shabon jesi

Teri yaade’n December ki shabo’n jaisi,
Jo aati hain to janaa bhool jaati hain..…
0 comments

Khiza ke sard paton ka wo manzar

khizaa k sard paton ka wo manzar yaad karta hai
usay kehna usay december bohat yaad karta hai
0 comments

Teri yaad aur barf bari ka mosam sulagta raha dil

Teri yaad aur barf bari ka mosam Sulagta raha dil k andar akelay,
Socha tha g lon ga tuj se bichar kar, Guzarta nahi ik December akelay,
0 comments

December mein kaha tha na ke wapas laut aaogey

December Main Kaha Tha Na K Wapis Laut Aao Ge,
Abhi Tak Tum Nahi Lautay December Laut Aaya Hai…!!!
0 comments

Yeh saal bhi udaas raha rooth kar gaya

Yeh Saal Bhi Udaas Raha Rooth Ker Gaya,
Tujhe Dekhe Baghair Jaana December Guzar Gaya…!!
0 comments

Teri yadon ki rawani aur ye december

Teri yadon ki rawani aur ye december
Meri batein , teri kahani aur ye december
Mera hath tera sath , lambi sarak aur ye
December
Gum sum shaamain , sunehri raatain aur ye
December
Bheigy din , madham suraj , halky badal aur ye
December
Behti nadiya , gaatay panchi , urti dhund aur ye
December
Tanha me , tanha chand , mera kamra aur yeh
December
Meri ankhein , mere aansu , meri neend , tere khawab aur ye
December

 
Blogger Tricks